Race nahi jeetni. Bas ghar zinda pahunchna hai.
Ek din, ek sadak, sabke liye ek jaisi. Kitna door jaoge?
Camera
Sadak
Aaj ki Sadak sabke liye ek jaisi hai.
Gaddhe, khule manhole aur ulta traffic se bacho. Horn kam, dhyaan zyada. Ghar tak zinda pahuncho.
Pahad ho ya maidaan, metro ho ya qasba, civic infra ki kahani ek si hai. Sadak bani, sadak khudi, naali khuli, bijli gayi, ambulance jam mein, aur horn sab ka.
Ye game kisi ek vibhaag ya neta pe ungli nahi uthata. Gaddhe banane mein sab ka haath hai: footpath pe parking karne wale, ulta chalane wale, kachra phenkne wale. Yaani hum.
ยท
Sadak pe khelna mana hai. Ye game ghar pe, ruk ke khelo. Chalte hue ya gaadi chalate hue phone mat dekho.
Aapka data: koi login nahi, koi location nahi, koi tracking nahi. Sirf anonymous ginti hoti hai (kitne log khel rahe hain, kaunsa level paar hua) jo sabke liye hatjabhai.com/stats pe khuli hai. Score aur unlocks sirf isi browser mein save hote hain. Gaane YouTube se chalte hain (privacy-enhanced YouTube player); fonts Google Fonts se aate hain.
Saari jagah, naksha, vibhaag aur ticker ki khabrein kaalpanik hain. Koi asli vyakti, sanstha, sadak ya brand nahi dikhaya gaya hai. Radio ke gaane unke official YouTube channels se chalte hain; hum koi gaana host nahi karte.
Gaane YouTube ke official channels se chalte hain; saare haq labels, composers aur kalakaron ke paas. Kuch hatwana ho toh email karein, hata denge.
Din 1 poora
Hat Ja Bhai free hai aur ad-free rehna chahiye. Agar sadak pe hasi aayi, toh ek chai pila do. Saara paisa hosting, naye ilaakon aur apne gaanon mein jaata hai.
Phone pe button dabao, UPI app khul jayega. Computer pe QR scan karo:
UPI ID:
Sadak kahin nahi jaa rahi. Gaddhe bhi nahi.